Kuch lamhe thhe
Alsaaye se
Bharmaaye se
Fiza mein
Kabhi sehme se
Muskaate
Jaana kidhar
Na Jaane
 
Meethi boliyan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyan sun lo
Bezubaani lamhon ki
Girte sambhalte chalte ladkhadaye
Haan magar ye honsla na dagmagaye
Armaano ke patang ko udaayen
Udaayen…
 
Aye zindagi hamen sohbaton ka nasha hai
Yeh sohbatein yaaron ki
Aye zindagi hame hosh ki na tu dava de
Dua de, dua de
 
 
Meethi boliyan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyan sun lo
Bezubaani lamhon ki
 
Sapnon ke peechhe chale,
Raahon mein hai yaadon ka pehra
Sulga ke kaali si raat
Laayenge ye ujla savera
Girte sambhalte chalte ladkhadaaye
Haan, magar ye hausla na dagmagaaye
Armaanon ki patang ko udaayein
Udaayein
 
Aye zindagi hamen sohbaton ka nasha hai
Yeh sohbatein yaaron ki
Aye zindagi hame hosh ki na tu dava de
Dua de, dua de
Meethi boliyan sun lo
Aasmani rangon ki
Meethi boliyan sun lo
Bezubaani lamhon ki