Khushi ke jalte sooraj ko
Sukoon ke ujhale ghumbaj ko
Buri nazron ka nikal gaya grahan
Asar thi uski saazish mein
Jo saiyaron ki gardish mein
Zaher ki tarha thaher gaya grahan
 
Khushi ke jalte sooraj ko
Sukoon ke ujhale ghumbaj ko
Buri nazron ka nikal gaya grahan
Woh aafat hi kuch aisi thi
Ki fitrat dhi-makh jaisi thi
Jo til til karke utar gaya grahan
 
Nazron ki aage dhvandh hai
Sab darwaze bandh hai
Jootha lage har dilasa
Haaf rahi aawaaz hai
Parde ke peechhe raaz hai
Hota nahi kyun khulasa
 
Muskurahat sehmi hai
Gham ki gehma ghemi hai
Duaaen saari nikali kebewafa
Raat katati karvat mein
Aansu chhupake silvat mein
Subaah ki kirane bhi lagti hai khafa
Qayamat bhar ke daaman mein
Kisi ke ghar ke aangan mein
Keher ki tarha utar gaya grahan
 
Nazron ki aage dhvandh hai
Sab darwaze bandh hai
Jootha lage har dilasa
Parde ke peechhe raaz hai
Hota nahi kyun khulasa