Dekha hai manzar yeh kaisa
Ye aankhein khuli ki khuli reh gayi
Chaha thaa udna dil mera
Auron ki udaane kati reh gayi
Kuchh aisa huaa hai aansu hi duaan hai
Khamosh si jubaan hai
Sab kuch dhuaan dhuaan hai
Royi royi zindagi yaq ba yaq kyun
Khoyi khoyi har khushi yaq ba yaq kyun
Tuta tuta hausla yaq ba yaq kyun
Rutha rutha hai khuda yaq ba yaq kyun
 
Subahaa ki aaghosh mein
Thaa andhera saa ghana
Dil kare kis se ghilaa
Yaar hi dushman bana
Zakhmo se dar badar
Aa phirta hoon darbadar
Phoolo pe hai fizaa
Kaanto pe ab hai ghuzar
Kuchh aisa huaa hai aansu hi duaan hai
Khamosh si jubaan hai
Rutha saa meherbaan hai
Royi royi zindagi yaq ba yaq kyun
Khoyi khoyi har khushi yaq ba yaq kyun
Tuta tuta hausla yaq ba yaq kyun
Rutha rutha hai khuda yaq ba yaq kyun
 
Zindagi ki aankh mein bikhra bikhra khwaab hai
Socha kya tha kya huaa dil soch ke betaab hai
Tum pe kiya yakeen haan they galat hum hi
Saansein to hai bachi jeene ki khwahish ab nahin
Kuchh aisa huaa hai aansu hi duaan hai
Khamosh si jubaan hai
Rutha saa meherbaan hai
Royi royi zindagi yaq ba yaq kyun
Khoyi khoyi har khushi yaq ba yaq kyun
Tuta tuta hausla yaq ba yaq kyun
Rutha rutha hai khuda yaq ba yaq kyun