Woh tho yahi hai lekin har koi usko dhunde
Parwah nahi hai usko dil chahe jaan bhi chutte
Khud ko manata rehta chahe ye duniya ruthe
Neendon mein ghuss ke kare sapne barbaad
 
Jismon aur jaan mein woh aise utar jayega
Ainaa dekhiye to woh is sirf nazar aayega
Woh toh yahi hai lekin har koi usko dhunde
Neendon mein ghuss ke kare sapne barbaad
 
Khud hi udaa kar sabke pankhon ko kaate woh
Kaale fasaane likhta kaajal churake woh
Khud ko sirf yaad rakhta duniya bhula ke woh
Sadiyan bekhair daala lamhon mein aake woh
Pankhon ko kaate pehle fir woh kare aazad
Neendon mein ghuss ke kare sapne barbaad