Aaa..aaa..
Zarra zarra jale,
Zarra zarra phunke
As lahe, as lahe,
Rom-rom tape
Woh teer si chubhti khoon ki bari
Jang ka ye silsila janm se jaari
Mere jism mein jaise rooh hai jaagi
Mujh mein hi jaise koi ho gaya hai baagi
Parinde ko udna hai sab saadhe nishana hai
Ye aag ka dariya hai, doob ke jaana
Ye aag ka dariya hai, doob ke jaana hai
Wooo..wooo…wooo..wooo…
Tere roop rang mein khan-khan hai
Aur batiyan mein ras manthan hai
Tere roop rang mein khan-khan hai
Aur batiyan mein ras manthan hai
Tu bharam hai ya ehsaas mera
Masphir honthon ki chhan chhan hai
Gehre-gehre mein ho tu lakh pehron mein
Hoga jo ho, tujhe paana hai
Ye aag ka dariya hai, doob ke jaana hai
Ye aag ka dariya hai, doob ke jaana hai
Rang se tere juda hoke
Berang hi mujhko rehna hai
Rang se tere juda hoke
Berang hi mujhko rehna hai
Pal pal palchhin man waare
Kahe ki kuchh na kehna hai
Tukdo tukdo mein jee main raha
Ab poora na ho paunga main yahan
Zarre ko baazi haan toofan se lagaana hai..
Ye aag ka dariya hai, doob ke jaana hai
Ye aag ka dariya hai, doob ke jaana hai.