Kaisa ye kaarwa
Kaise hai raastein
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Saara sukoon hai khoya
Khushiyon ki chahat mein
Dil ye seham saa jaayein
Chhoti si aahat mein
 
Kuch bhi samajh na aaye
Jaana hai kahaan
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
 
Alfaaz saanson mein hi
Aake bikharte jaayein
Khamoshiyon mein
Bhole ye ankhein bezuban
Parchaiyan hai saathi
Chalta hi jaayein rahi
Koi na dekhe ab
Yeh zakhmon ke nishaan
 
Kuch bhi samajh na aaye
Jaana hai kahaan
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
 
Naa roshni hai koi
Aashaye khoyi khoyi
Toota phoota hain umeedon ka jahan
Naa bekarari koi
Bhandish rihaai koi
Ab tu nigahon mein na koi intezaar
Kuch bhi samajh na aaye
Jaana hai kahaan
 
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye
Khwaabon ko sach karne ke liye
Titli ne saare rang bech diye