Paglaayi paglaayi duniya ye logon ko
Padhti hai akhbaaron ki hi tarah
Dekhein woh jismon se aage bhi thoda sa
Baaton ke piche bhi jhanke zara
 
Jo hai chupa jo na padha
Kitna kuch hai aisa likha
Nazron mein jo aaya nahi
Duniya walo ko na dikha
 
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere mere jaisa koi hoga kyun
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
 
Chamkile kaagaz si
Mushkaanein hain inn honton pe
Beimaani saanwar hum
Jaise ho inn chonton pe
 
Sach mein kabhi hans na sake
khul ke ro bhi paate nahi
Kya rog hai hum kyun bhala
Jo hai woh ho jate nahi
 
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere mere jaisa koi hoga kyun
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
 
Sapno se tu zinda
Sapno se hi main zinda hoon
Jhoothi si duniya ki
Parwah humne karni hi kyun
Kuch khaash hai kuch khoob hai
Tujh mein tujhko hai yeh khabar
Ek dosti sach se kareeb
Dooja saathi tera sabar
 
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere mere jaisa koi hoga kyun
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
 
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon
Tere mere jaisa koi hoga kyun
Tere jaisa tu hai
Mere jaisi main hoon