Tera aks hain jo tu bhi wo hi kyun nahin
Jaisi teri soorat
Waisi seerat kyun nahin
Haan..tera aks hai jo tu bhi wo hi kyun nahin
Jaisi teri soorat
Waisi seerat kyun nahin
Chehre kyun badalti hai
Saath kyun na chalti hai
Zindagi tu jalti hai
Khwaabon se mere..
Kaisi yeh khalayi hai
Dil ko bhar ke jaaye hai
Besabab rulaye hai
 
Jaane se tere..
Tera aks hain jo tu bhi wo hi kyun nahin
Jaisi teri soorat
Waisi seerat kyun nahin
Sab kuch jaise thehra hua hai..
Tham gaya pal wahin pe tu jahan ruki
Khudne aise tu kho gayi hai..
Ab tujhe mera koi khayal hi nahin
Zindagi sambhal ja tu
Thodi si badal ja tu
Rehem kar pighal ja tu
Zid kyun tu kare..
Chehre kyun badalti hai
 
Saath kyun na chalti hai
Zindagi tu jalti hai khwaabon se mere..
Tera aks hain jo tu bhi wo hi kyun nahin
Jaisi teri soorat
Waisi seerat kyun nahin
Tujhko mujhse kitne gile hain..
Dooriyon mein kho gayi hain
Kurbatein kahin
Katra katra jeene lage hain..
Zindagi tujhe hain kyun
Shikayatein kayi
Rab se ab gila sa hai
 
Waqt se mila sa hai
Khud sa fasla sa hai
Ab toh bin tere..
Chehre kyun badalti hai
Saath kyun na chalti hai
Zindagi tu jalti hai
Khwaabon se mere
Tera aks hain jo tu bhi wo hi kyun nahin
Jaisi teri soorat
Waisi seerat kyun nahin