Sooraj hai kahaan sir mein aag re
Naagin titliyaan ab chal bhaag re
Meri aankh mein loha hai kya
Meri rotiyon mein kaanch hai
Gin mere ungliyaan
Kya poori paanch hai
Yeh meri bandook dekho
Yeh mera sandook hai
 
Ghaas jung jism paani
Koyla meri bhook hai
Chowk mera gali
Meri naukri batti meri
Dhool dardi sauna raddi
Dhoop aur sardi meri
Meri parking hai
Ya meri seat hai
Tera matha hai
Yeh meri eent hai
 
Meri mitti se meri
Mitti tak aa rahein hain jo
Saari railon se rang
Sirfire riwaazon se
Meri boli se mere melon se
Keelein chubhti hai
Jheelein dikhti hai
Lakdiyaan geeli nahi
Hai tel hai teeli yahin hai
 
Mera jhanda tareeka
Mera sach sahi
Gar koi awaaz utthi
Gaad doonga main yahi
Main yahaan pehle khada
Tha hai gehra maidaan
Aazmaale laathiyon pe ya tera
Yeh kitaabein ek paanp
Hai ve log saare saanp hai
Jahaan latke hamamon
 
Mein morality ki bhaap hai
Main bataaunga tujhe
Toh jeans pehne kitne tang
Kaunsi building mein tu
Reh sakti hai kab kiske sang
Raat ke kitne baje
Kaise chale kisse mile
Kab palat kar maar de
Kab chup rahe kab kab chale
Hai yeh valentine kyun
Tu ne pee wine kyun
Tere pub se uske rabb se
Mujhko problem hai sabse
 
Humnein unko khoob
Dhoya jo rooyi se log the
Ban gaye unke gubbare
Jo suyi se log the
Jiski chaadar hum se
Choti uski chaadar cheen li
Jiski chath pe chadh gaye
Hum usko seedhi tod di
Istihaaron mein khushi
Hai aur ghar aata nahi
De mera chaaku mera
Maa kab se kuch kaata nahi
Bacche khelte the
Jahaan pichle june mein
Ab baste dikhte wahaan
Bheege khoon mein
 
Pad rahi thi ek bacchi
Sadak par bheedh thi
Sabka na koyi darr tha zarrori
Sab ne mar di chodh di