Kuch labb pe hai, kuch dil mein hain
Armaan zara mushkil mein hain
Kuch labb pe hai, kuch dil mein hain
Armaan zara mushkil mein hain
 
Ek ajnabi pyaas hai, deewangi khaas hai
Kuch pyaar mein keh toh diya
Kuch kuch magar kehna bhi hai, kehna bhi hai…
kehna bhi hai…
 
Laage (laage) kahin na ab jiyaa laage
Jaage (jaage) raaton ko ab naina jaage
Bechaniyan, shaam-o-sehar, mujhko nahi meri khabar
Saansein chalein, beetey samay, pal na dhale
Jeena mujhe, ab toh teri, palkon tale
 
Kuch labb pe hai, kuch dil mein hain
Armaan zara mushkil mein hain
Kuch labb pe hai, kuch dil mein hain
Armaan zara mushkil mein hain
 
Jhoome (jhoome) masti mein mera tann jhoome
Ghoome (ghoome) aawara mera mann ghoome
Teri gali tera sehar, aachi lage teri dagar
Ruk ke chale, chal ke ruke, yeh karwaan
 
Aadhi lage, poori lage yeh dastaan
Kuch labb pe hai, kuch dil mein hain
Armaan zara mushkil mein hain
Kuch labb pe hai, kuch dil mein hain
 
Armaan zara mushkil mein hain
Ek ajnabi pyaas hai, deewangi khaas hai
Kuch pyaar mein keh toh diya
Kuch kuch magar kehna bhi hai, kehna bhi hai
Kehna bhi hai…