Prem na upje khet mein
Bhaiya prem bike na haat re
Par jab jab yeh ho jaaye
Lag jaati hai vaat re vaat re
Khadi ho jayegi khaat re
 
Madua pee ke prem ka hum
Hain tanik bauraye se
Re woh mashooka yaar hum hain
Beech na koyi aaye re
 
Ho uske naina neat daru
Se ghazab chadh jaaye re
Ho tab se hamri woh jab se
Jag mein aashiq aaye re
 
Kasam se dharam se
Kasam se jiyara chaknachoor hai
Issaqbaazi se
Kasam se jiyara chaknachoor hai
Ishqbaazi se
Kasam se jiyara chaknachoor hai
Issaqbaazi se
 
Ho tum ka jaano preet ki chidiya
Kaun gagan mein udti hai
Preet hamari parchhayi hai
Jahan mudein hum mudti hai
 
Ho lag jaibe hai tej katari
Badi zor se seene mein
Dard bada ho tabahi aave hai
Bada maza jeene mein
 
Ho uska hamra mel anokha
Uska hamra mel anokha
Woh lehar hum paani hain
Tum ho paani hum kinara
Lehar hum tak aani hai
 
Kasam se dharam se
Kasam se jiyara chaknachoor hai
Issaqbaazi se
Kasam se jiyara chaknachoor hai
Ishqbaazi se
Kasam se jiyara chaknachoor hai
Issaqbaazi se
 
Hum us-se prem ghazab karte
Woh humse prem ghazab karti
Woh humre liye zaroori hai
Woh humre bina adhoori hai
 
Hum tose usko ladwayenge
Itna hum bhadkayenge
Tu chamcha ho ja uska chaahe uska
Maanegi na baat
Ho ek batte do aashiq
Tohri kaise hogi chhori re
Apne kad se ooncha na tu
Sapnon ka charkha kaat
 
Karat hai kyun baatein umar se badi
Tu desi deewana woh English pari
Re Sahiba padhaku thi Mirza tha tayin
Tab bhi to woh English hai desi hoon main
Hai jiya le gayi hai re tohri yeh baat
Aa karle tu yaari mila humse hath
Aa karle tu yaari mila humse hath
Dhin-tak dhin-tak dhin-tak dha