Tere mere dil
Zara zara toote toh hain
Tere mere dil
Zara zara roothe toh hain
Tere mere dil
Zara zara toote toh hain
Tere mere dil
Zara zara roothe toh hain
 
Kyun aisa hai ye kya jaane
Kya dil ko hum na pehchane
Kya hum rahe bas anjaane
Zara soche tu
Zara sochun main ye kabhi
 
Saari jo kahaniya hain
Teri meri kitni adhoori si
Poori hongi kaise ye
Zara soche tu, sochun main
Ye bhi toh kabhi
Tere mere dil
Khoye khoye lagte hai na
Tere mere dil
Soye soye lagte hai na
 
Soona soona sa rasta hai
Sannata sa barasta hai
Dil kis liye tarasta hai
Zara soche tu
Zara sochun main ye kabhi
Saari jo kahaniya hain
Teri meri kitni adhuri si
Poori hongi kaise ye
Zara soche tu, sochun main
Ye bhi toh kabhi
 
Tanha main hoon, tanha tu
Toh hum dono humraahi nahi kyun
Goonjti hai jo dhadkano mein
Honthon tak baat woh aayi nahi kyun
Jo gumsum hai tu, gumsum hoon main
Dono hai uljhe uljhe se, dono bechain
Jo gumsum hai tu, jo gumsum hoon main
Ho wo…
 
Saari jo kahaniya hain
O teri meri kitni adhuri si
Poori hongi kaise ye zara soche tu
Sochun main ye bhi toh kabhi
Tere mere dil
Zara zara toote toh hain
Tere mere dil
Zara zara roothe toh hain