Yeh zameen bik chuki aasmaan bik chuka
Yeh zameen bik chuki aasmaan bik chuka
Ab hawa dhoop pani khareedenge hum
Ab hawa dhoop pani khareedenge hum
Yeh zameen bik chuki aasmaan bik chuka
Chaand jhulsega
Chaand jhulsega benoor hogi subah
Na andhere ujaale mein hogi sulah
Ab shehar mein jami hongi faslein nayi
 
Ab duayein hamein dengi naslein nayi
Unse sachchi kahani khareedenge hum
Ab hawa dhoop pani khareedenge hum
Aankhein hariyali ko ab taras jaayengi
Badliyan aag banke baras jaayengi
Saath kudrat ke khilwaad humne kiya
Jaanke har kadam pe hai jokhim liya
Baag aur baagwani khareedenge hum
 
Ab hawa dhoop pani khareedenge hum
Yeh zameen bik chuki aasmaan bik chuka
Badbu ab ho rahi wadiyon mein rawan
Saans lena bhi ab hoga doobhar yahan
Jaadugarni corruption ki chal jaayegi
Yeh pradooshan ki nagin nikal jaayegi
Saans aur zindgani khareedenge hum
Ab hawa dhoop pani khareedenge hum
Ab hawa dhoop pani khareedenge hum