Aye jigida jigida Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida
Ho koyi keh do taaron ko,
Itna na jhuke
Sooraj mombatti ban
Meri raaton mein jale
Har manzil besabri se,
Dastak hai kare
Lakeerein haathon ki,
Meri marzi pe mudhe
Kora kaagaz diya hai
Haathon mein mere
Pehen ke jaaun jo bhi
Aise din honge mere
Yaar langtotiya hain yeh
Khuda bhi jo mera
Karta hai hamesha
Jo bhi mann main ho mere
Aye jigida jigida Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida Aye jigida jigida
Aye jigida jigida Aye aye jigida jigida
Mere ishaaron pe hi
Hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi
Toh leta chanda phere
Mere ishaaron pe hi
Hote hain savere
Mere ghar ki chat pe hi
Toh leta chanda phere
Khawaishon ki dukaan pe
Mera khata hai chalta ji
Kismat ka bhi toh choga
Mere naap se kat-ta banta hai ji
Oon ke gole jaisi,
Raahein khulti aisi
Mere pairon ke tale
Meri manzil hogi agar,
Aaj yahan se behetar
Khud se hi aake woh toh
Mere piche daude chale
Aye jigida jigida Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida Aye jigida jigida
Aye jigida jigida Aye aye jigida jigida
Mujhse jo hain bhale woh,
Karte hain sau paintare jo,
Lagta nahi unse darr mujhko
Roko chakke ki jaam se
Main toh bhai kood phaand ke
Kar doonga aage yaar
Main toh khudko
Daawn ke painch leke,
Baraah zoron se khench ke,
Kas doonga main jeet ke main purrje
Mujhko zameen pe baandho,
Karlo door aasmaan ko,
Main toh phir bhi udh jaaun phurr se
Aye jigida jigida Aye jigida jigida
Aye aye jigida jigida Aye jigida jigida
Aye jigida jigida Aye aye jigida jigida