Palne me chand utra,
Khoobsurat khwaab jaisa
Godh mein usko uthata to
Mujhe lagta tha waisa.
 
Sara jahan mera hua
Sara jahan mera hua
Subah ki woh pehli dua yaa
Phool resham ka.
Masoom sa masoom sa
Mere aas pass tha
Masoom sa, mere aas pass tha
Masoom sa.
 
Ek kamra tha magar,
Sara zamana tha wahan
Khel bhi the aur khushi thi
Dostana tha wahan,
Chaar deewaron mein rehti
Thi hazaaron mastiyan
The wahi pat war bhi
Sagar bhi the aur kashtiyan
The wahi pat war bhi
Sagar bhi the aur kashtiyan
 
Meri to woh pehchan tha
Meri to woh pehchan tha
Ya yun kaho ki jaan tha woh
Chand aagan ka..
Masoom sa masoom sa
Mere aas pass tha
Masoom sa, mere aas pass tha
Masoom sa.
Masoom sa..ho masoom sa