Woh rang bhi kya rang hai
Jo milta na tere honth ke rang se hu-ba-hu
Woh khushbu kya khushbu
Thehre na jo teri sanwari zulf ke ru-ba-ru
 
Tere aage yeh duniya hai feeki si
Mere bin tu na hogi kisi ki bhi
Ab yeh zahir sareaam hai elaan hai
 
Jab tak jahan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
 
Jab tak jahan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
 
Uljhan bhi hoon teri
Uljhan ka hal bhi hoon main
Thoda sa ziddi hoon
Thoda paagal bhi hoon main
 
Barkha bijli baadal jhoote
Jhooti phoolon ki saughatein
Sachchi tu hai sachcha main hoon
Sachchi apne dil ki baatein
 
Dastkhat hathon se hathon pe kar de tu
Na kar aakhon pe palkon ke parde tu
Kya ye itna bada kaam hai elaan hai
 
Jab tak jahan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
 
Jab tak jahan mein subah shaam hai
Tab tak mere naam tu
Jab tak jahan mein mera naam hai
Tab tak mere naam tu
 
Mere hi ghere mein ghoomegi harpal tu aise
Suraj ke ghere mein rehti hai dharti yeh jaise
Payegi tu khud ko na mujhse juda
Tu hai mera aadha sa hissa sada
 
Tukde kar chaahe khwaabon ke tu mere
Tutenge bhi tu rehne hain woh tere
Tujhko bhi to yeh ilhaam hai
Elaan hai