Jism is tarah, dard se bhara
Rooh ki koi bachi nahin jagah
Pyaar dhaal tha, magar main dhaal sa
Mujhe hi loot thi, rahi meri panaah
Dheere dheere jal raha
Jal ke pighal raha
Behta chala hai dil mera
 
Main hun kya, mere khuda…
Kaatun main kyun ye sajah
Piya…a..kaahe pehle milaaye,
Jab akhir ye judaai hai
Dil se kyun khele bataa
Dekh pyaasi hai jaan
Hai udaasi yahan
Khaali khaali jahaan
Bewajah har samaa
 
Lab sukhe sukhe
Raina bheege bheege
Rootha rootha sa mann
Jis tan laage, aisi bekarari
Jaane bas wohi tann
Uljha hun main kab se, suljha
Main hun kya, mere khuda…
Kaatun main kyun ye sajah
Piya…a..kaahe pehle milaaye,
Jab akhir ye judaai hai
Dil se kyun khele bataa
 
Haar maane nahin, bewajah sa yakeen
Yaar toh hai kahin, be-naseebi yahin
Kaise main bhulaaun, ya main bhool jaaun
Beeta hua mera kal
Kahan chala jaaun, dhoond laaun
Pyare apne woh pal
 
Tune kabhi kya ye socha
Main hun kya, mere khuda…
Kaatun main kyun ye sajah
Piya…a..kaahe pehle milaaye,
Jab akhir ye judaai hai
Dil se kyun khele bataa