Fiza ye khiza badal jayegi
Yeh mauje fanaa bikhar jayegi
Fiza ye khiza badal jayegi
Yeh mauje fanaa bikhar jayegi
Kashishein magar ye dil se kabhi
Chahein bhi toh na nikal payegi
Aye khatir tere nichhavar mere
Yeh dono jahaan hai yaar mere
Tu aa sath baant le har gham, har khushi
 
Yeh aisi hai teri dosti
Hai gardish bhi jisme haseen
Iss pharsh se uss arsh tak
Hai bas tera mera zikr hi
Yeh aisi hai teri dosti
Hai gardish bhi jisme haseen
Iss pharsh se uss arsh tak
Hai bas tera mera zikr hi
 
Saath mere tu jab bhi chala
Hota gaya kam har faasla
Saath mere tu jab bhi chala
Hota gaya kam har faasla
Sochun kabhi gar tu na hota
Aye yaar mere mera kya hota
Saath thhe hum rahe saath hi
Hai fariyaad jazbaat ki
 
Ye aisi hai teri dosti
Na jisme hai ranjish koi
Jab yaaron ka ho kaarvaan
Manzil ki tab fikar hi nahi
Ye aisi hai teri dosti
Na jisme hai ranjish koi
Jab yaaron ka ho kaarvaan
Manzil ki tab fikar hi nahi