Tum the yahin
Phir bhi tum gum the
Aur main laapata
Ab jo mile ho toh phir
Saath hi mein reh jao na
 
Tum the yahin
Phir bhi tum gum the
Aur main laapata
Ab jo mile ho toh phir
Saath hi mein reh jao na
 
Thode thode se poore
Aur thode adhoore
Ye waade rahe kya pataa
Poore honge kayi khwab
Reh jaayenge kuch adhoore
Abhi kya pata
 
Aa jao na
Aa jao na
Aa jao itna bhi kya sochna
Aa jao na
Aa jao na
Aa jao itna bhi kya sochna
 
Thoda sahi ik doosre mein
Aa reh le kahin
Aa jee bhi le
Kab kyun kahaan kaise
Soche nahin
 
Aa chal waadon ke bhatke huve
Jugnuon ko dikha dein sahi raasta
Aa chal sotey sitaaron ko haule se
Sehla ke roshan karein aasmaan
 
Aa jao na
Aa jao na
Aa jao itna bhi kya sochna
Aa jao na
Aa jao na
Aa jao itna bhi kya sochna
 
Shaamein keyi hongi thehri hui
Baatein keyi hongi roothi hui
Chhoti si zidd hogi
Lambi si raatein
Phir bhi pyaar reh jaayega
Rehta hamesha toh kuch bhi nahin
Phir bhi naa jaane kyun mujhko yaqeen
Sab beetne par bhi
Sab chhutne par bhi
Yeh pyaar reh jaayega
 
Tum the yahin
Phir bhi tum gum the
Aur main laapata
Ab jo mile ho toh phir
Saath hi mein reh jao na
 
Tum the yahin
Phir bhi tum gum the
Aur main laapata
Ab jo mile ho toh phir
Saath hi mein reh jao na
 
Thode thode se poore
Aur thode adhoore
Ye waade rahe kya pataa
Poore honge kayi khwaab
Reh jaayenge kuch adhoore
Abhi kya pataa
 
Aa jao na
Aa jao na
Aa jao itna bhi kya sochna
Aa jao na
Aa jao na
Aa jao itna bhi kya sochna
Aa jao na
Aa jao na
Aa jao itna bhi kya sochna