Dhobi ka kutta jaise ghaat ka na ghar ka
Poori tarah na idhar ka, na udhar ka
Sun re nikhattu tera wohi to haal hai
Zindagi ki race mein jo munh utha ke dauda
Zindagi ne maari laat peeche chhoda
Tu hai wo tattu, gadhe si jiski chaal hai
Pyaar mein thenga…
Bar mein thenga…
Inki botal bhi goron ki gulaam hai
Roothi hai mehbooba
Roothi roothi sharaab hai
 
Hey aam hindustaani teri kismat kharaab hai
Roothi hai mehbooba
Roothi roothi sharaab hai
Hey aam hindustaani teri kismat kharaab hai
Aasmaan se yun gira, khajoor pe tu atka
Tere haalaat ne uthake tujhko patka
Kee aisi champi ki tere hosh ud gaye
Bewafaai dekh ke jo aayi tujhko hichki
Chaudi chhaati teri chutkiyon mein pichki
Gham ki pappi muaah mili to baal jhad gaye
 
Pyaar mein thenga…
Bar mein thenga…
Inki botal bhi goron ki gulaam hai
Roothi hai mehbooba
Roothi roothi sharaab hai
Hey aam hindustaani teri kismat kharaab hai
Roothi hai mehbooba
Roothi roothi sharaab hai
Hey aam hindustaani teri kismat kharaab hai
 
Aadmi nahi tu samjhe khud ko machhli
Ulti ganga mein hai tairne ki khujli
Par yeh hukoomat jo hai magarmachh hai
Laalach ne tujhko aisi patti padhaai
Khwaahish ne li hai degchi kadhaai
Taqdeer teri abhi bhi chammach mein hai
 
Pyaar mein thenga..thenga..
Bar mein thenga…
Inki botal bhi goron ki ghulam hai
Roothi hai mehbooba
Roothi roothi sharaab hai
Hey aam hindustani teri kismat kharaab hai
Roothi hai mehbooba
Roothi roothi sharaab hai
Hey aam hindustani teri kismat kharaab hai