Yeh lamha jo thehra hai
Mera hai ye tera hai
Yeh lamha main jee loon zara
Tujh mein khoya rahoon main
Mujh mein khoyi rahe tu
Khudko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main
Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi
Haa.. phir kabhi
 
Kyun bewajah gungunaaye
Kyun bewajah muskuraaye
Palkein chamakne lagi hai
Ab khwaab kaise chupaaye
Behki si baatein kar lein
Hans hans ke aankhen bhar lein
Ye behoshiyan phir kahan
 
Tujhme khoya rahoon main
Mujhme khoyi rahe tu
Khud ko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main
Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi
Haa.. phir kabhi
 
Dil pe taras aa raha hai
Pagal kahin ho na jaaye
Woh bhi main sun’ne laga hoon
Jo tum kabhi keh na paaye
Yeh subah phir aayegi
Yeh shaamein phir aayengi
Yeh nazdeekiyaan phir kahan
 
Tujhme khoya rahoon main
Mujhme khoyi rahe tu
Khud ko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main
Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi
Haa.. phir kabhi