Zindagi se churake
Zindagi mein basa ke
Zindagani banaya hai tujhe
Roothe rab ko mana ke
Aasmaan ko jhuka ke
Zindagani banaya hai tujhe
 
Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile… Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda
 
Zindagi se churake
Zindagi me basaa ke
Zindagani banaaya hai tujhe
Mehfooz tu mehsoos kar, tere paas hoon main sada
Tujhse nahi ho sakta main pal bhar bhi ab juda
Ab saath hain hum is tarah aankhon pe sang palke
Aa waqt ko yeh baat hum ik baar phir se keh dein
Saare gham se chhupa ke, har nazar se bacha ke
Zindagani banaaya hai tujhe
 
Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile… Bakhuda
Tu mila toh jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda
 
Baahon mein aa ho jayenge shiqwe sabhi khud fanaa
Hothon se main tujh ko sunu aankhon se tu kuch sunaa
Tu aks ahi main aaina, phir kya hai sochna
Ik doosere mein kho ke hai ik-doosre ko paana
Kismaton ko jagaa ke, har jahaan ko hara ke
Zindagani banaya hai tujhe
 
Tu mila jis tarah saba mile
Tu mila jis tarah sila mile
Tu mila jis tarah duaa mile… Bakhuda
Tu mila tto jaise main jee gaya
Tu mila mukammal main ho gaya
Tu mila toh phaila hai noor sa bakhuda