A aa
Ho Al-Bari
Tera aadam mujhko dikhlave ki cheez banaye
Kyu mujhko mere jism se aage samajh na paye
 
Ho Al-Wali
Bolo aisa kyun hai
Mujhse paida hua hai jo woh
Har pal har dum mujhko kamzor bataaye
 
Jo thi tere wajood pe duniya
Baithi hai barood pe duniya
Mool to sab ko bhool gaya hai
Jeeti hai ab sood pe duniya
Saare qaayadein kitaabein bhool gaye
Mitti mein saare phool gaye
 
Mujkhko mein koi baat nahi
Koi auqaat nahi
Tu hi toh hai shaan meri
Tu hi hai guroor
Kyun door tera noor
Zikr-e-Ilaahi ka jab hai mujhko suroor
 
Ulfat ke bin kahaan rihaai
Baat kisiko samajh naa aayi
Phir bhi sabko samajh baant’ta har saudai
Zinda jazbaat nahi
Haq mein halaat nahi
Maanungi naa haar mujhe hai fateh ka fitoor
Kyun door tera noor
Zikr-e-Ilaahi ka hai mujhko suroor
Kyun door tera noor