Tu bhoola jise
Tujhko wo yaad karta raha
Tu jeeta raha
Tere liye wo marta raha
Tere dard ki aahat suni
Lo aa gaya sab chodd ke
Teri raah mein lekar khushi
Wo hai khada har mod pe, sab chodd ke
Tu bhoola jise
Tujhko wo yaad karta raha
Teri fiqar me ghuzarta raha
Lamha dar lamha
Tere sath dunia thi
Wo raha tanha ka tanha
Teri fiqar me ghuzarta raha
Lamha dar lamha
Tere sath dunia thi
Wo raha tanha ka tanha
Aansoo mile dekha tha jo
Palkon ko bhi jod ke
Teri raah mein lekar khushi
Wo hai khada har mod pe, sab chodd ke
Vande Mataram
Vande Mataram
Vande Mataram