Jahaan se chalta hoon
Wahin laut aata hoon
Aansu nikal padte hain
Jab bhi muskurata hoon
Jahaan se chalta hoon
Wahin laut aata hoon
Aansu nikal padte hain
Jab bhi muskurata hoon
 
Kyun beasar koshishein hain
Kyun ansuni khwahishein hain
Belafz aansu ye pooche tu bata
Meri marzi teri raza mein
Hai faasla kyun aye khuda
Meri marzi teri raza mein
Hai faasla kyun aye khuda
 
Kyun beasar koshishein hain
Kyun ansuni khwahishein hain
Belafz aansu ye pooche tu bata
Meri marzi teri raza mein
Hai faasla kyun aye khuda
Oh ho khuda…
Oh ho khuda…
Oh ho khuda…
 
Khwabon mein hai daraarein
Aankhon mein dikhne lagin hain
Saanson ki tooti diwaarein
Kaandhe pe tikne lagi hai
Khwabon mein hai daraarein
Aankhon mein dikhne lagin hain
Saanson ki tooti diwaarein
Kaandhe pe tikne lagi hai
 
Kis baat ki mujhko mili hai sazaa
Tu hi jaanta hai ye mujhe kya pataa
Meri marzi teri raza mein
Hai faasla kyun aye khuda
Meri marzi teri raza mein
Hai faasla kyun aye khuda
Kismat mein hai dhoop lekin
Chaaon bhi kahin toh hogi
Jahaan manzilein hongi apni
Koi aisi zameen toh hogi
 
Kismat mein hai dhoop lekin
Chaaon bhi kahin toh hogi
Jahaan manzilein hongi apni
Koi aisi zameen toh hogi
Paaon dhoondte hain jo raasta
Jaane kis mod pe hai woh chupa
Tu hi bataa…
Meri marzi teri raza mein
Hai faasla kyun aye khuda
 
Kyun beasar koshishein hain
Kyun ansuni khwahishein hain
Belafz aansu ye pooche tu bata
Meri marzi teri raza mein
Hai faasla kyun aye khuda
Meri marzi.. Teri raza
Meri marzi.. Teri raza
Meri marzi.. Teri raza
Mein hai kyun faasla…
Oh ho khuda… oh ho khuda…
Oh ho khuda… oh ho khuda