Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatuni meri khamoshi hai
 
Jalte bujhte harf hain jo
Hothon pe ye barf kyun ho
Inn sawaalon ka tu jawaab hai
Sun zara
 
Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatuni meri khamoshi hai
 
Dil tera chakore sa bhaga kyun hai
Chand bagal mein tera
Kandhon pe ye khwab aisa ladaa kyun
Takiye pe rakh toh zara
Chupe hain jo dil ke
Suraag dikha doon tujhe
 
Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatuni meri khamoshi hai
 
Dil ke bichaune jo the kore kore
Rang se khilne lage
Khwab ke bageeche dhaaga dhaaga chune
Fursat se silne lage
 
Kahaan se ye seekha
Hunar bata dil mere
Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatuni meri khamoshi hai
 
Jalte bujhte harf hain jo
Hothon pe ye barf kyun ho
Inn sawaalon ka tu jawaab hai
Sun zara
 
Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatuni meri khamoshi hai