Mann jaage saari raat, mera dewaana
Mann maane na yeh baat, ke woh tha begaana
Mann jaage saari raat, mera dewaana
Mann maane na yeh baat, ke woh tha begaana
Hai khud se hi, khafa khafa
Kya chahiye, nahi pata, banwara
Paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya
Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoondhe, kya kya dukh na paaya
Par saaya tehra saaya, ke haathon mein na aaya
Koi subaah, jo main uthoon
Tujhe agar, mile sukoon, banwara
Ginta rehta taare, lotoon main angaare
Khud se ladta phirta, yeh jag ko thokar maare
Kheenche kheenche baithe, baithe baithe bhaage
Na sunta khudke aage, yeh pagal ho gaya re
Paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya
Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoondhe, kya kya dukh na paaya
Par saaya tehra saaya, ke haathon mein na aaya
Hai zindagi muhaal kyun
Bana liya yeh haal kyun bata
Uljha uljha rehta na sunta na kuch kehta
Sooni sooni aankhon se, reh-reh paani behta
Toote saare naate, haara main samjhate
Bichde din aur saathi, phir wapas nahi aate
Wapas nahi aate, wapas nahi aate
Yeh dard kyun, yeh pyaas kyun
Phira kare, udaas kyun
Yeh rald kyun, talaash kyun bata, banwara
Thandi aahein bharke, jeeta hai mar-mar ke
Kaisa reh gaya hai, yeh dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke, jhokein se umar ke
Raet ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke
Thandi aahein bharke, jeeta hai mar-mar ke
Kaisa reh gaya hai, yeh dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke, jhokein se umar ke
Raet ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke
Aaa
Mann jaage, jaage re
Mann jaage
Jaage jaage jaage, banwara