Keh bhi de, tere dil mein jo hai
Haan tu keh bhi de, aye zindagi
Hasratein laayi jo dhundh ke
Tu ise rakh bhi le ab yahin
 
Keh bhi de, tere dil mein jo hai
Haan tu keh bhi de, aye zindagi
Hasratein laayi jo dhundh ke
Tu ise rakh bhi le ab yahin
Inn khwahishon mein kitne
Armaan hai chupe
Khwaabon ne jo basaaye woh
Jahaan hai chupe
 
Ankahe lafz hai, kaise bole zubaan
Meri khamoshiyaan hi hain mera bayaan
Hai yeh ehsaas ke tu mere rubaroo
Zindagani meri mujhse kar guftagoo
Saari farmaaysihein hai tere waaste
Mod de mere dil ki taraf tu raaste
Aa bhi jaa aankhon se meri tu guzar jaa zara
 
Keh bhi de, tere dil mein jo hai
Haan tu keh bhi de, aye zindagi
Hasratein laayi jo dhundh ke
Tu ise rakh bhi le ab yahin
Is jagah aagayi hai meri chahatein
Zikra deta hai tera mujhe raahatein
Faasla darmiyaan rooh ka mitne laga
Kurbaton se teri main lipatne laga
 
Ab yahi hai junoon ke tujhse main milun
Umra bhar ab inhi raaston par main chalun
Meharbaan, dil ko sukoon hai tujhi se mila
Haan..keh bhi de, tere dil mein jo hai
Haan ab tu keh bhi de, aye zindagi
Hasratein laayi jo dhundh ke
Tu ise rakh bhi le ab yahin
 
Ab so bhi jaa
Yeh dil mera mujhse kahe
Mujhe khwaab ki aagosh mein
Rab se kahe
Ab so bhi jaa
Yeh dil mera mujhse kahe
Mujhe khwaab ki aagosh mein
Rab se kahe