Hosh-o-hawas kho jaane de
Hota hai jo bhi ab, ho jaane de
Hosh-o-hawas kho jaane de
Hota hai jo bhi ab, ho jaane de
Saanson ki iss garmi se
Khud ko pighalne de
Khud ko pighalne de
Ik dooje ki baahon mein
Jismon ko ghulne de
Boondon ke is mausam mein
Jismon ko dhulne de
 
Boondon ko dheere dheere
Honthon pe khulne de
Ik dooje ki baahon mein
Jismon ko ghulne de
Boondon ke is mausam mein
Jismon ko dhulne de
Boondon ko dheere dheere
Honthon pe khulne de
Meri aankhon mein hai
Nashe ki ik chingari
Jitni aag hai ismein
Tujhko pila doon saari
 
O meri aankhon mein hai
Nashe ki ik chingari
Jitni aag hai ismein
Tujhko pila dun saari
Mere sath chalne ki tu 
Karle ab taiyari
Doori bardast hogi nahin
Jo main kahun ab hoga wahi
Mere issharon pe tu
Khud ko ab chalne de
Khud ko ab chalne de
 
Ik dooje ki baahon mein
Jismon ko ghulne de
Boondon ke is mausam mein
Jismon ko dhulne de
Boondon ko dheere dheere
Honthon pe khulne de
Tu chahe toh tujhko
De doon saari raatein
Pyaar chhod ke kar le
Baaki saari baatein
 
O tu chahe toh tujhko
De doon sari raatein
Pyaar chhod ke kar le
Baaki sari baatein
Tujhse tujhko le jaaungi
Main toh aaj churake
Jitni bhi hai mujhme sharam
Kehta hai dil ye kar de khatam
Mujhko dheere dheere 
Khud mein dhalne de
Khud mein dhalne de
 
Ik dooje ki baahon mein
Jismon ko ghulne de
Boondon ke is mausam mein
Jismon ko dhulne de
Boondon ko dheere dheere
Honthon pe khulne de