Dhaal dharm ki misaal karm ki
Nyaya ke dagar se na dar kabhi
Satya pe chale sada garv karti hai praja
Raja chandrachur tumsa naa
Koi dusra, naa koi dusra
 
Kuchh dino se aa raha hai mann me suvichar
Yogya patra dhundhu usko sopu rajyabhaar
Putra to suputra hai phir aisa vichar kyun
Putra ke hi haatho sopte naa rajyabhaar kyun
Praja meri santaan hai praja ko mujhpe maan hai
Putra naa hai yogya rani aapko bhi gyan hai
Hai padosi rajya me ek shreshtha rajkumar
Dheer hai wo veer hai karega wo praja se pyar
 
Bijaliyo si hai kadak aapki nigaaho mein
Loh bhi pighalta hai aapki pujao mein
Rajpat dhundh hai banke aandhi chhat do
Jo bhi banke aaye shish uska kaant do
 
Jaisa bhi hai putra tu abhi mujhko pyara hai
Maa ko dukh naa dena koi uska tu sahara hai
Sahara hai sahara hai
 
Ummid leke aayi hu aapki sharanya mein
Kar rahi hu vandana shree sant ke charan mein
Tu andhere raasto pe do jaalo ki kiran
Aashish hai sabhi jiye ke shuddh ho ye tan mann
Shadyantra ke is chaal ko tutne naa dunga main
Buraai ki ho jai sada achchhai maar dunga main
Ho chalo sambhaal lo talvaar dhaal lo
Main banunga raja ab rajkumaar ko dunga jail
Rajkumaar ko dunga jail
 
Teri vandana jitni karu main kam hai
Maa teri mamta ko shat shat naman hai
Tu batati rahi raaste ye bure hai
Magar main tha jiddi yu badhta raha
Sambhala maa tune kayi baar
Lekin main kitna bura tha behakta raha
Kiye maaf tune gunah saare mere
Phir bhi tujhe main samjh naa saka
Hai ehsaas mujhko hai maa tu kya hai
Hai dil tera sagar aanchal aasma hai
 
Milta hai sab kuchh kho kar yaha pe
Nahi milta tujhsa maa jami aasma par
Tu dhup sardi ki tu pipal ki chhao
Ab jaan paaya jo tu naa hai maa
Kami teri rulayegi mujhe har ghadi
Hai maa teri charano mein jannat padi
Hai jannat padi,
Hai jannat padi, hai jannat padi