Ho.. chaand chaahun, na chakora
Na falak ka.. tukda tukda tukda
Noor chaahun, na main hoori
Na pari sa.. mukhda mukhda mukhda
Sang sang chal de
Sang sang chakh le
Meetha meetha har sukh har dukhda
Usey khwabon se jagaaun
Usey baahon mein sulaaun
Sar-aankhon pe bithaun
Usey haathon se khilaaun, ta-umar
 
Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Daawat-e-Ishq hai
Dil ne dastarkhaan bichhaaya
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai, Ishq Hai
 
Baadalon ko chun ke, bun ke
Kaaleen banaaya hai tere liye
Taaron ko todkar ke,
tashtari mein sajaya hai tere liye
 
Chaand taaron ko kyun sataya
Tilmilaya hai mere liye
Jaaun jidhar bhi khill khill udhar hi
Dhoop nikalti hai mere liye
 
Tu aaye to meri pheeki se mehfil mein lazzate laut aaye
Hasrat-e-lazzat jo hai teri daawat to bolo bhala kaun aaye
Arey keh de tu jo, saari deghon ko aa koodu dil ki jo dum bhi main de doon apna
 
Dil ne dastarkhaan bichaya, ha ha ha...
Dil ne dastarkhaan bichaya
Daawat-e-Ishq hai
Dil ne dastarkhaan bichaya
Daawat-e-Ishq hai
Hai qubool to aaja jaana
Daawat-e-Ishq hai
 
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e-Ishq hai
 
Ishq hai, ishq hai
Daawat-e-ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
Daawat-e Daawat-e-Ishq hai
 
Ishq hai..