Yaqeen aise toota bhram apna loota
Ye samjhe the hum ke watan hai hamara tumhara
The tinke ki galti gharonda hi toda
Ye samjhe the hum ke ye ghar hai hamara tumhara
Ye zinda chitaayein ye murda duayein
Kahin tir o nastar kahin chikh o aahein
Ke insaan se insaan bachta firey maara maara
 
Maao ke sir se cheeni hai chadar
Bilakhte ye nanhe besaaya beghar
Maao ke sir se cheeni hai chadar
Bilakhte ye nanhe besaaya beghar
 
Kamzor kaandhe pe aulaad ke sang
Rakshak bhi hai tu aaj raavn ke afsar
Ki daaman hi insaaniyat ka hua para para
Lashon ko bhi lootne ye lage hain
Jeevan ke saude bhi hone lage hain
Lashon ko bhi lootne ye lage hain
Jeevan ke saude bhi hone lage hain
 
Hai aag harsu magar dil andhere
Padosi padosi se darne lage hain
Wo vishwas gum hai kahin chup gaya haara haara
Har mod per ek kaatil khada hai
Wo ghaat mein bus isi ki laga hai
Har mod per ek kaatil khada hai
Wo ghaat mein bus isi ki laga hai
Ke kab ek lahu dusra khoon bahaye
Mitti ka ek tan kab duja dhaaye
Ki aangan ki gita ka har ek sabak kara kara