Armaan hai hawaao mein udne ka
Mujhe dharti se ambar se judne ka mujhe
Mushkil hai khud ko khud hi se judaa karna

Saa ni paa paa ni saa ga re
Gaa re paa maa gaa re
Gaa ni saa
 
Megho se barse armaan ki boonde
Manzile yun dastak deti hai
Palkon ke pichhe sapne sajake
Khwahishe hasti hai
Sargam se boondo ki
Ghoonje gaa jahaan
Mushkil hai khud ko khud hi se judaa karna
Mushkil hai khud ko khud hi se judaa karna
 
Udta phirta mann ka parinda
Chhoona chahein har woh shakhein
Jis mein saji hai khwaabon ke patte
Phool umeendo ke
Sapno ke rango se mehkega jahaan