O, mere desh ki dekho aan shan
Yahan desh bhakt den hass ke balidan
Iss desh mein adbudh hai shakti
Iss desh ki chandan si mitti
Mere desh ko duniya karre parnam hoo
Iska koi hissab nahi
Mere desh ka jawab nahi
Mere desh ka jawab nahi
 
O yahan laggte shaheedo ke mele hoo ho
O yahan laggte shaheedo ke mele
Tyohar yahn ke albele
Kabhi id diwali raakhi hai
Kabhi lohri holi baisakhi hai
Kabhi id diwali raakhi hai
Kabhi lohri holi baisakhi hai
Sanskriti yahan ki hai mahan
Atithi bhi hai dev samman
Mera desh gaaon mein bassta hai
 
Dilo mein pyar barasta hai
Dilo mein pyar barasta hai
Yahan shankh bajje hai mandir mein
Hoti hai rajjane masjid mein
Yahan pathar mein bhi bhagwan hai
Yahan geeta hai bibal hai kurana hai
O mitro pe jaan lutaa de ham
Dushman ko maar bhaga de ham
Har narr mein yahan shivaji jai
Har naari mein laxmi baai hai
 
Yahn prem ki amar missale hain
Yahn dil wale hain matwale hain
O yahn heera aur ranjha ke kisse
Soni mahiwal ke charche hain
Uttar mein parvaton ka raaj hai
Dakhin ko saagar pe naaz hai
Purab mein hai suraj ki laali
Parchim ki chatha bhi hai niraali
Ham punjabi hai
Aur hain bangali
Ham mandrasi hain
 
Aur hain marathi
Ham hazaro bhasha bhashi hain
Par ham saare bharat vassi hai
Par ham saare bharat vassi hai
O mere desh ka jawab nahi
Mere desh ka jawab nahi
O mere desh ka jawab nahi
Mere desh ka jawab nahi
Ho mere desh ka jawab nahi
Mere desh ka jawab nahi
Mere desh ka jawab nahi