Ab tak toh hume koi samjha hi nahin
Haan koi hume pehchana hai kahan
Nahin kisi ko khabar hai woh manzil kaun si
Aakhir hume jaana hai jahaan

 

Ho hum chale toh din bhi
Khud ba khud chalte hain
Hum jahaan ruk jaaye wahin raat hoti hai
Jis jagah pe khatam sab ki baat hoti hai
Uss jagah se humari shuruwaat hoti hai
Jis jagah pe khatam sab ki baat hoti hai
Uss jagah se humari shuruwaat hoti hai

 

Chup hain agar hum yeh apni sharafat hai
Warna doron ke na rukti sharaarat hai
Paisa hai kitna yeh poocho zara mujhse
Iss ko bhi ro de tu zulfon ke saavan se

 

Iss bahaane tu bhi thoda sa bheege ga
Kaun si rozana yeh barsaat hoti hai

 

Jis jagah pe khatam sab ki baat hoti hai
Uss jagah se humari shuruwaat hoti hai
Jis jagah pe khatam sab ki baat hoti hai
Uss jagah se humari shuruwaat hoti hai

 

Apsi adaayon ka kayal zamana hai
Lekin yeh dil toh teri hi deewana hai
Ab tum mile hain toh koi wajah hogi
Iss mein bhi shayad khuda ki raza hogi

 

Do dilon ka milna hai wahi karta hai
Chaahne se kab yeh mulakaat hoti hai

 

Jis jagah pe khatam sab ki baat hoti hai
Uss jagah se humari shuruwaat hoti hai
Jis jagah pe khatam sab ki baat hoti hai
Uss jagah se humari shuruwaat hoti hai