Ruk ruk ke kehte hain
Jhuk jhuk ke rehte hain
Ruk ruk ke kehte hain
Jhuk jhuk ke rehte hain
Dil ka mizaaj ishqiya
Dil ka mizaj ishqiya
Tanha hai logon mein
Logon mein tanhaayi
Dil ka mizaaj ishqiya
Dil ka mizaj ishqiya
Chotein bhi khaayein
Aur gungunaayein
Aisa hi tha yeh
Aisa hi hai yeh
Masti mein rehta hai
Mastana saudaai
Dil ka mizaaj ishqiya
Arre dil ka mizaj ishqiya
Sharmeela sharmeela
Parde mein rehta hai...
Dardon ke chhonke bhi
Chupke se sehta hai
Nikalta nahi hai
Gali se kabhi
Nikal jaaye to dil
Bhatak jata hai
Arre bachcha hai aakhir
Behak jata hai...
Khwaabon mein rehta hai
Bachpan se harjaayi
Dil ka mizaaj ishqiya
Dil ka mizaj ishqiya... aa..
Gusse mein balkhana
Gairon se jal jana
Mushkil mein aaye to
Waadon se tal jana
Ulajhane ki isko yun aadat nahi
Magar bewafaai sharafat nahi
Yeh jazbaati hoke chhalak jata hai...
Ishq mein hoti hai
Thodi si garmaayi
Dil ka mizaaj ishqiya
Arre dil ka mizaaj ishqiya...
Ruk ruk ke ishqiya..
Jhuk jhuk ke ishqiya..
Ruk ruk ke kehte hain
Kehte hain.. kehte hain..
Jhuk jhuk ke rehte hain
Rehte hain.. ishq.. ishq.. ishqiya....
Ishqiya...
Ishqiya....