Neem ke patte kadhwe sahi
Par khoon toh saaf karte hain
 
Bol ke lab azad hain tere
bol zubaan ab tak teri hai
Bol ke lab azad hain tere 
Bol zubaan ab tak teri hai
 
Tera sutva jism hai tera
Bol ke jaan ab tak teri hai
 
Mein artist hoon
Mujhe zakhm aur bhade ghaav mujhe pasand hai
 
Bol yeh thoda waqt bahut hai
Bol yeh thoda waqt
Bahut hai jism zubaan ki
Maut se pehle
 
Saari hamdardi kya apne
Kirdaaron ke liye bacha rakhi hai
Aakhir mein afsaane
Hi reh jaate hain or unke kirdaar
 
Bol yeh thoda waqt bahut hai
Bol yeh thoda waqt
Bahut hai jism zubaan ki
Maut se pehle
 
Bol ke sach zinda hain ab tak 
Bol jo kuch kehna hai kehle
Bol jo kuch kehna hai kehle